Dhunuchi



Dhunuchi ko Dhunachi bhi kaha jata hae or sath me ise dhoopchi bhi kahte hae. Varansi ke ganga aarti se lekar bangal ke durgapuja me dhunuchi se hi puja hoti hae. Pratidin ki puja me Dhunuchi ke madhyam se hi puja kiya ja sakta hae keval. Isme Raal or Guggul ke sath jalay jata hae. Kahtae hae Ki Dhoop Puja ek Sampurn Puja hae jo Ki pratidin har koi kar sakta hae cahen wah kisi bhi varn se ho jati hae stri ho ya purush ho. Ise jalane ke liye Nariyal ke chilke ka ishtemal kiya jata hae ya fir gobar ke kande me hi ise ghee or kapur ke sath jalaya jata hae. Dhunuchi Dhoop se hi aap Dhoop Puja, Dhoop Seva, Dhoop Havan , Dhoop Aarti Kar sakte hae. Ise Prachin Dhoop Kaha jata hae sath hi yah Dhoopam or Dhoop Aradhanai ke naam se bhi dravid granth me jane jate hae. 

टिप्पणियाँ